Monday, February 18, 2013

Love Shayari



Zindagi ek chahat ka silsila hai,
Koi mil gaya to koi bichad gaya,
Jise har pal maanga maine duaon mein,
Khuda se mujhe wo bina maange hi mil gaya…
-----------------------
Dil dhadakta hai tujhe dekhun to,
Saans bhi meri rukne lagti hai,
Pyar itna hai mere dilmey sanam,
Rooh bhi meri khinch ne lagti hai,
Chain milta hai jab mei dekhun tujhe,
Warna ya saans rukne lagti hai.
------------------------------
Khud me hum kuch is tarah kho jate hai,
Biti hui yadon ko lekar ro jate hai,
Nind nahi aati raton me par,
Unko khwab me dekhne ke liye so jate hai.
--------------------------------
Koi tumse poochhe kaun hoon main,
Keh dena koi khaas nahin,

Ek dost hai kachcha pakka sa,
Ek jhoot hai aadha sachcha sa,
Jazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai achcha achcha sa.

Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo paas ho kar bhi paas nahin,
Koi tumse poochhe kaun hoon main,
Keh dena koi khaas nahin.

Hawa ka ek suhana jhonka hai,
Kabhi nazuk to kabhi toofan sa,
Shakl dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna to kabhi begana sa.

Zindagi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ki pyaas nahin,
Koi tumse poochhe kaun hoon main,
Keh dena koi khaas nahin.

Ek saathi jo ankahee kuch batein keh jaata hai,
Yadon me jiska ek dhundla chehra reh jaata hai,
Yun to uske na hone ka kuch gham nahin,
Par kabhi kabhi ankhon se aansu ban ke beh jaata hai.

Yun rehta to mere tasavvur me hi,
Par in ankhon ko uski talash nahin,
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Keh dena koi khaas nahin.
---------------------------------

Phir kahin door se ik baar sada do mujko,
Meri tanhai ka ehsaas dila do mujhko,
Tum to chand ho tumhe meri zaroorat kya hai,
Main diya hoon kisi chaukhat pe jala do mujko.
----------------------------

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...